ಯಾವುದೇ ಹೆಸರಿಲ್ಲದ, ಚೌಕಟ್ಟಿಲ್ಲದ ಸ೦ಬ೦ಧ… ಬ೦ಧನವಿಲ್ಲದ ಬ೦ಧ. ಅದನ್ನು ಹಾಗೇ ಉಳಿಸಿಕೊಳ್ಳೋಣ. ಅದನ್ನು ಕೈಯಲ್ಲಿ ಸ್ಪರ್ಶಿಸಿ, ಅದಕ್ಕೊ೦ದು ಸ೦ಬ೦ಧದ ಆರೋಪ ಹೊರಿಸುವುದೇಕೆ… ಪ್ರೀತಿ ಭಾವವಾಗೇ ಉಳಿಯಲಿ ಎನ್ನುವ ಒ೦ದು ಮಧುರವಾದ ಹಾಡು :
Hamne dekhin hain un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
hamne dekhin hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
hamane dekhi hai
pyaar koyi bol nahin, pyaar aawaaz nahin
ek khaamoshi hai sunti hai kahaa karti hai
na ye bujhti hai na rukti hai na thahri hai kahin
noor ki boond hai sadiyon se bahaa karti hai
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
hamne dekhi hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
hamane dekhi hai
muskuraahat si khili rahti hai aankhon mein kahin
aur palkon pe ujaale se jhuke rahte hain
honth kuchh kahte nahin, kaanpte honthon pe magar
kitne khaamosh se afsaane ruke rahte hain
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
hamne dekhin hai un aankhon kii mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
hamne dekhin hain
ಹಾಡಿಗಾಗಿ ಇಲ್ಲಿ ಕ್ಲಿಕ್ಕಿಸಿ : 3maaqI6_1Ts
]]>






haath se choo ke ise rishton kaa ilzam na do…humne dekhi…what a song!! what lyrics…can die just listening to this!!!
hats off for this post!!
Thank you!!